Bijli Ka Bill Zyada Kyun Aata Hai? 7 Wajahein Aur Best Easy Tips

Bijli ka bill zyada aana aaj kal har doosre ghar ka masla hai. Garmiyon ka mausam aata hai aur saath hi aik dar bhi: is mahine bill kitna aaye ga? Hamare ghar mein bhi kai dafa aisa hua ke bill dekh kar sab hairan reh gaye. Ghar wale kehte hain “humne to kuch alag istemal hi nahi kiya”, lekin bill kuch aur keh raha hota hai.

Bijli ka bill zyada kyun aata hai – 7 wajahein aur tips

Is article mein hum aasan alfaaz mein 7 wajahein batayenge jin ki wajah se bijli ka bill zyada aata hai, ghalat bill par kya karna chahiye, aur roz ki chhoti aadaton se bill kaise kam karein. Sab se pehle apna mojooda bill check kar lein taake asal units aap ke saamne hon:

Hum aap ka number save nahi karte. Bill company ki official website par khulta hai.

Bijli ka bill zyada aane ki 7 wajahein

Hamare tajurbe mein yeh saat cheezein sab se zyada farq daalti hain. Zaroori nahi ke aap ke ghar mein saari hon, lekin do teen bhi hon to bill upar chala jata hai.

1. Garmi ka mausam aur AC

Sardiyon mein na AC chalta hai, na din raat pankhe. May se September tak sab badal jata hai. Purana non-inverter AC sab se bara kharch hai, aur raat bhar 16 ya 18 degree par chalaana bill ko kai guna kar deta hai. Isi liye garmiyon mein bijli ka bill zyada aata hai.

2. Paani ki motor

Motor bohot power leti hai. Garmi mein paani zyada lagta hai, is liye motor bhi zyada chalti hai. Agar tanki bharne ke baad bhi chalti rahe, ya din mein kai dafa chalaayi jaye, to seedha bill par asar parta hai.

3. Istri

Istri chhoti si cheez lagti hai, lekin yeh bhi bohot power khaati hai. Roz aik aik kapra press karna, aur har dafa istri dobara garam karna, mahine ke aakhir mein units mein saaf nazar aata hai.

4. Har kamre mein har waqt chalte pankhe

Aksar kamra khaali hota hai lekin pankha chal raha hota hai. Aik pankha kam lagta hai, magar jab paanch kamron mein paanch pankhe 18 ghante chalein, to units tezi se barhte hain.

5. Bari aur purani lights

Purane bulb aur tube lights zyada watt ki hoti hain. Ghar ke bahar ya aangan mein saari raat jalti bari light bhi bijli ka bill zyada karne mein apna hissa daalti hai.

6. 200 units ki had paar hona

Yeh sab se kam samjhi jaane wali wajah hai, is liye neeche iska alag hissa hai.

7. Meter reading ya system ki ghalti

Har dafa ghalti hamare istemal ki nahi hoti. Meter reader reading ghalat likh sakta hai, ya hisaab lagate waqt system mein ghalti ho sakti hai. Aisa kam hota hai, lekin hota hai.

200 units slab: aik unit se bijli ka bill zyada kaise hota hai

Gharelu bijli ka rate units ke hisaab se badalta hai: jitne kam units, utna kam rate. 200 units ki had bohot ahem hai. Hum ne khud dekha hai ke units 200 se thore se upar gaye to bill mein bohot bara farq aa gaya, halankay istemal sirf thora sa barha tha.

Wajah yeh hai ke 200 units tak walon ko kam rate milta hai, aur jo log kai mahine lagataar 200 se neeche rehte hain unhein “protected” sarif ka faida bhi milta hai. Had paar ho jaye to units mehnge rate par lagte hain aur yeh faida bhi khatam ho sakta hai. Rates badalte rehte hain, is liye taaza rates ke liye NEPRA ki official website dekhein.

Amli mashwara: mahine ke darmiyan apna meter khud parhein. Pichli reading bill par likhi hoti hai. Agar 15 tareekh tak 120 ya 130 units ho chuke hon to samajh jayein ke baqi mahine ehtiyaat karni hai.

Bijli ka bill zyada aur ghalat lage to kya karein?

Agar aap ko lage ke bill sahi nahi hai to yeh qadam uthayein:

  1. Bill par likhi present reading ko apne meter ki asal reading se milaayein. Bill ki reading meter se zyada ho to ghalti saaf hai.
  2. Meter ki aik saaf tasveer lein jis mein reading aur tareekh nazar aaye.
  3. Bill par pichle 12 mahine ki history dekhein. Istemal wohi tha aur units achanak bohot zyada hain, to yeh bhi saboot hai.
  4. Apni company ke qareebi office (SDO ya customer service center) jayein. LESCO ho ya aap ke ilaqay ki koi aur company, wahan bata dein ke mera yeh masla hai, aur bill aur tasveer saath le jayein.
  5. Complaint number ya receipt zaroor lein taake baad mein follow-up kar sakein.

Behtar hai ke due date se pehle complaint kar dein. Bill durust ho gaya to naya bill mil jaye ga, warna kam az kam late surcharge se bach jayenge.

Bijli ka bill zyada na aaye: bill kam karne ke aasan tareeqay

Sab se bari tip yeh hai: jab zaroorat na ho, cheez band ho. Sun’ne mein aam baat hai, lekin bijli ka bill zyada hone se rokne mein sab se zyada farq isi se parta hai.

  • Kamre se nikalte waqt pankha aur light band karne ki aadat daalein, aur bachon ko bhi sikhaayein.
  • Motor chala kar bhool na jayein. Tanki bharte hi band karein, ya automatic switch lagwa lein.
  • Kapre roz press karne ke bajaye hafte mein aik do dafa ikatthe press karein.
  • AC ko 26 degree ke aas paas rakhein aur saath pankha chala dein.
  • Purane bulb aur tube lights ki jagah LED lagaayein. Bahar wali light sirf zaroorat ke waqt jalaayein.
  • Naya AC lena ho to inverter AC lein. Shuru mein mehnga hai, lekin bachat se paisa wapis aa jata hai.

Akhri baat

Bijli ka bill zyada aana aksar aik cheez ki wajah se nahi, balkay bohot si chhoti aadaton ka nateeja hota hai: fazool chalte pankhe, lambi chalti motor, roz ki istri, purani lights aur bohot thanda AC. Inhein thora control kar lein, mahine ke beech meter reading dekh lein taake 200 units ki had yaad rahe, aur agar bill phir bhi ghalat lage to company ke office jaa kar complaint karne se na ghabraayein.

Yeh bhi parhein

Leave a Comment