Google par bohot log likhte hain “SNGPL online bill check 14 digit”. Lekin yahan ek aam ghalat fehmi hai: SNGPL ka gas bill 14-digit number se check nahi hota. 14 digits wala number bijli ke bill (LESCO, FESCO, IESCO waghera) ka reference number hota hai. SNGPL ke liye aap ko Consumer ID chahiye, jo aam tor par 11 digits ka hota hai.
Agar aap gas bill ke box mein 14-digit number daal rahe hain aur error aa raha hai, to wajah yahi hai.
We never store your number. Your bill opens on the official company website.
SNGPL Consumer ID kahan likha hota hai?
Apna SNGPL gas bill uthayein. Bill ke upar wale hisse mein Consumer ID ya Consumer No. likha hota hai. Yahi 11 digits ka number hai. Is ke ilawa bill par aur bhi numbers hote hain, jaise meter number aur bill number. Un se bill check nahi hota, sirf Consumer ID se hota hai.
14-digit aur 11-digit number ka farq
| Bijli bill (LESCO, MEPCO waghera) | SNGPL gas bill | |
|---|---|---|
| Number ka naam | Reference number | Consumer ID |
| Digits | 14 | 11 (aam tor par) |
| Bill check page | Bijli bill check | SNGPL bill check |
SNGPL bill online check karne ka tareeqa
- Bill par se apna 11-digit Consumer ID dekh lein.
- Oopar wale box mein number likhein aur “Check Bill” dabayein.
- Number copy ho jaye ga aur SNGPL ki official website khul jaye gi.
- Wahan number paste karein (phone par long press → Paste) aur Search dabayein.
Agar Consumer ID nahi mil raha?
- Purane bill ya SNGPL ki taraf se aaye SMS mein dekhein. Aksar wahan bhi likha hota hai.
- Bank ya JazzCash/Easypaisa par pichli payment ki receipt mein bhi Consumer ID hota hai.
- SNGPL helpline 1199 par call kar ke apna naam aur address bata kar bhi pata kar sakte hain.
Mazeed maloomat ke liye hamara SNGPL gas bill check wala mukammal article parhein.
Akhri baat
Yaad rakhein: gas = 11 digits (Consumer ID), bijli = 14 digits (reference number). Yeh farq samajh liya to bill check karna do minute ka kaam hai.
1 thought on “SNGPL Bill Check – 14 Digit Nahi, 11 Digit Consumer ID Se Bill Dekhein”